Recent Posts

Farhan Ali Waris Noha lyrics





                         Haey Zindan


Meri Mazloom Behna SAKINA(SA)
Meri Masoom Behna SAKINA(SA)
 
Bole SAJJAD (AS) Lasha Utha Kar…..
 
SAKINA(SA), SAKINA(SA), 
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya, Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
 
Kya Karu Kaid Khana Hai Yeh Ghar Nahi, Gusl Dene Ko Pani Mayasar Nahi
Aur Dafnau Kaise Ke Chadar Nahi, Be Kasi Aur Gurbat Mein Aai Gamzada
Khun Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya…..
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya, Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
 
Jub Tu Roie Tamachon Ki Paie Saza, Balian Chin Gai Aur Daman Jala
Aur Kanon Ke Khoon Se Hai Kurta Bhar, Haye Tujhko Kafan Bhi Nahi Mil Saka
Khun Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya…..
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya, Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
 
Du Andheron Se Darti Rahi Meri Jaan, Baap Ke Gam Mein Roti Rahi Meri Jaan
Ghar Chalo Maan Se Kehti Rehi Meri Jaan , Tera Arman Pura Nahi Ho Saka
Khun Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya…..
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya, Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
 
Aaisi Bichdi Ke Phir Baap Se Na Mili, Chut Ke Baba Se Zindan Ki Kaidi Bani
Haye Yeh Baat SAJJAD (AS) Ko Kha Gai, Haye Teeron Se Unka Kafan Ban Gaya
Khun Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya…..
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya, Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
 
Tujhko Zinda Mein Baba Ka Sar Jo Mila, Tu Ne Baba Ke Muh Pe Jo Muh Ko Rakha
Itna Roi Ke Zinda Laraz Ne Laga, Rote Rote Hi Aaie Hai Tujh Ko Kaza
Khun Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya…..
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya, Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
 
Kamsine Mein Sitam Tu Ne Kitne Sahe, Char Saala Yatima Main Sadke Tere
Baad E Aashoor Soie Nahi Chain Se, Chain Mar Ke Bhi Tujhko Nahi Mil Saka
Khun Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya…..
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya, Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
 
Haye Farhan O Mazhar Ajab Waqt Tha, Us Yatima Ka Jis Dum Janaza Utha
Bibiyon Mein Bapa Ek Kohram Tha, Sub Ne Qabre SAKINA(SA) Pe Nauha Kiya
Khun Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya…..
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya, Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya







SHABBIR (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajaty



Do Jag Ke Palanhar , Kul Hind Ke Awtar.
SHABBIR  (AS) Mere Aqa, SHABBIR  (AS) Mere Maula
Hirday Mein Jaga Pate, Jeewan Mein Sama Jaage,
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate, Hirday Mein Jaga Pate, Jeewan Mein Sama Jaage,
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate
 
Kutch Kaal Na Pad Jata Sansar Mein Pani Ka…..2
Do Boond Agar Zalaim…..2….. ASGAR (AS) Ko Pila Jaate
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate,
Hirday Mein Jaga Pate, Jeewan Mein Sama Jaage,
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate, 
 
Unlogn Ne Maula Ko Katon Pe Chalaya Tha…..2
Pakon Ko Bicha Te Hum…..2….. Jis Oor Bhi Woh Jaate
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate, 
Hirday Mein Jaga Pate, Jeewan Mein Sama Jaage,
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate, 
 
Ganga Ke Kanare Par, GAZI (AS) Ka Alam Sajata…..2
Is Hind Ki Shobha Ko…..2….. Woh Aake Badha Jaate
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate, 
Hirday Mein Jaga Pate, Jeewan Mein Sama Jaage,
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate,
 
Is Desh Mein Aajata, Sundar Sa Parivartan…..2
Har Dharm Ki Janta Ko…..2….. Khud Kalma Padha Jaate
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate, 
Hirday Mein Jaga Pate, Jeewan Mein Sama Jaage,
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate,
 
SHABBIR  (AS) Ko Janta Ki Chahat Na Agar Hoti…..2
Na Godh Ke Palon Ko …..2…… Mati Mein Mila Jaate
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate, 
Hirday Mein Jaga Pate, Jeewan Mein Sama Jaage,
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate,
 
SHABBIR  (AS) Ke Bacchon Ke Yun Naaz Utha Te Hum…..2
Akash Ke Taron Ko…..2….. Chanon Mein Bicha Jaate
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate, 
Hirday Mein Jaga Pate, Jeewan Mein Sama Jaage,
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate,
 
Bali Na Koi Chinti, Chinti Na Koi Chadar…..2
Ravan Ke Pujari Na …..2….. Khaimon Ko Jala Jate
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate, 
Hirday Mein Jaga Pate, Jeewan Mein Sama Jaage,
SHABBIR  (AS) Medine Se Gar Hind Mein Aajate,







SAJJAD (AS) Ki Aaie Sada




Haye SAJJAD  (AS) Haye Haye Shaam
 
SAJJAD  (AS) Pe Is Waqt Qaiyamat Ki Ghadi Hai
ZAINAB (SA) Daiyar E Shaam Mein , Sar Nange Khadi Hai
 
SAJJAD  (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
SAJJAD  (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
Na Mehramon Ki Bhid Mein , Kaunain Ki SHAHZADIYAN (SA)
Is Dard Se Rota Hun Main , Kadi Bani SAIDANIYAN (SA)
Yeh Dil Sukun Na Paienga, Yeh Din Mujhe Khaa Jaienga
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
SAJJAD  (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
Kaise Saje Hai Baam O Dar, Kis Zulm Ki Tajdeed Hai
Kaidi Hai Aal E Mustufa (saww) In Shaamiyon Ki Eid Hai
Kyun Zipt Ho Dil Par Bhala, Yeh Dard Hai Subse Bada
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
SAJJAD  (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
Sar ZAINAB (SA) O Kulsoom (SA) Ka Aaya Ushe Jis Dam Nazar
Ek Bawafa Gaiyur Ka Thaira Nahi Naize Pe Sar
Sar Khaak Par Uska Gira Karta Hua Bus Yeh Buka
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
SAJJAD  (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
Pani Kabhi Maanga Nahi, Tishana Labon Ke Waaste
Chadar Talab Karta Hun Main In Bibiyon Ke Waaste
Tarikiyon Mein Din Chupa, Aandhi Chala Aur Khaak Udha
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
SAJJAD  (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
Jinko Chuda Ya Kaid Se, Meri Phupi Ne Barha
Kaidi Bana Kar Laaie Hai, Woh Log Hi Yeh Hai Jafa
Kya Waqt Hum Par Aa Gaya, Ehsan Ka Hai Yeh Sila
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
SAJJAD  (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
Ek Dard Ki Barchi Si Hai, Is Kalb Mein Tooti Hui,
Ummat Bhi Hai Bewafa, Taqdeer Bhi Rooti Hui
Kaise Kate Yeh Fasal , Ya De Qaza, Ya Hausla 
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
SAJJAD  (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
Farhan O Mazhar Aabdi Kya Thi Qaiyamat Ki Ghadi
Ek Malik E Qadr O Qaza  Faryad Karta Tha Yehi
Mujh Par Sitam  Ab Aur Kya, Dhaiengi  Yeh Ummat Bhala
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida
 
SAJJAD  (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI  (SA) Hai Be Rida







                    Aaj Shaam Tak





Subhe Ashoor Baad E Azan, Karbala Kar Rahi Hai Fuga
Khaimon Mein Sirf Honga Dhua, Aaj Shaam Tak…..2
 
Ghat Jaiengi Yeh Umr E Rawan, Aaj Shaam Tak
Khaimon Mein Sirf Honga Dhua, Aaj Shaam Tak
 
Kaisi Saji Hai Bargahe Sher E Zuljalal, 
AKBAR (AS) Sa Naujawan Koi QASIM (AS) Sa Khush Jamal
ABBAS (AS) Sar Se Taba Kadam, Haidri Jalal
Dekhe Sue Khaiyam Kisi Ki Nahi Majal
Lekin Jiyenga Koi Kahan Aaj Shaam Tak
Khaimon Mein Sirf Honga Dhua, Aaj Shaam Tak…..2
 
Bacchon Mein Keh Rahi Hai SAKINA (SA) Khushi Khushi
Do Ek Paher Ki Baat Hai, Apni Yeh Tishnigi, 
Bhari Hai Lashkaron Pe Har Ek Fard E Hashmi
Qaiyam Rahe Khuda Mere Ammu Ki Zindagi
Hojaienge Watan Ko Rawan , Aaj Shaam Tak
Khaimon Mein Sirf Honga Dhua, Aaj Shaam Tak…..2
 
Rekhe Namaz Padh Ke Musalle Lapet Kar
Lo Ahle Shar Ke Saam Ne Jaa Pohuche Pur Jigar
Lagta Nahi Hai Zeest Ki Hai Aakhri Sahar,
Yeh Josh Yeh Kharosh Yeh Raunak To Hai Magar
Har Samt Hogi Aaho Fuga , Aaj Shaam Tak
Khaimon Mein Sirf Honga Dhua, Aaj Shaam Tak…..2
 
AKBAR (AS) Khade Hai Ulte Hue Apni Aastin
Din Dhal Raha Hai Chup Ne Lage Hai Rukhe Haseen
ZAINAB (SA) Ko Ho Chala Hai Aseeri Ka Ab Yaqeen
Lo Waqt E Asr Aa Gaya SHABBIR (AS) Bhi Nahi
Badlega Bar Bar Sama Aaj Shaam Tak
Khaimon Mein Sirf Honga Dhua, Aaj Shaam Tak…..2
 
Ashab O Aqarba Mein Na Baqi Koi Raha
Khaime Mein Aaie Rote Hue SHAHE KARBALA (AS)
Bosa Gale Pe Bhai Ke ZAINAB (SA) Ne Jub Liya
Bazu Bahan Ka Choom Ke SHABBIR (AS) Ne Kaha
Honge Yahan Rasan Ke Nishan , Aaj Shaam Tak
Khaimon Mein Sirf Honga Dhua, Aaj Shaam Tak…..2
 
Gash Mein Pade Hai AABID E BEEMAR (AS) Farsh Par
Teemar Dar Daud Rahe Hai Idhar Udhar
Khona Hai Kya Dabeer Kisi Ko Nahi Khabar
Aada Uthaenge Inhe Bistar Ghaseet Kar
Gardan Mein Hoga Tauk E  Garan Aaj Shaam Tak
Khaimon Mein Sirf Honga Dhua, Aaj Shaam Tak…..2





                     ABBAS (AS) Utho









Zakhmon Se Choor  Choor The MAZLOOM E KARBALA (AS)
Khanjar Sambhale Hath Mein shimr (LA) Badha
 
Baith Thi Apne Laal Ke Nazdeek SAIYADA (SA)
Ek Bar Aaie Kann Mein Mazloom Ki Sada
 
ABBAS  (AS), ABBAS  (AS), ABBAS  (AS)
 
Rukh Su E Alqama Kiya, Karne Lagi Yeh Bain
ABBAS  (AS) Utho Tum Ko Sada Deta Hai HUSAIN (AS)…..3
 
Sadmon Se Tishnagi Se Dilafgar Hai HUSAIN (AS)
Zakhmon Se Choor Choor Hai Lachar Hai HUSAIN (AS)
Kitne Sitamgaron Me Giraftar Hain HUSAIN (AS)\
Teri Madad Ka Aaj Talbgar Hai HUSAIN (AS)
ABBAS  (AS) Utho Tum Ko Sada Deta Hai HUSAIN (AS)…..2
 
Sub Kho Chuka Hai Ran Mein Sahare Mera HUSAIN (AS)
Nauha Kuna Hai Dard Ke Mare Mera HUSAIN (AS)
Karta Hai Zer E Lab Jo Ishare Mera HUSAIN (AS)
Tujh Ko Nahi To Kis Ko Pukare Mera HUSAIN (AS)
ABBAS  (AS) Utho Tum Ko Sada Deta Hai HUSAIN (AS)…..2
 
SHEH (AS) Ke Gale Pe shimr (LA) Ne Rakhi Junhi Churi
Woh Dekh Khaima Gah Se ZAINAB (SA) Nikal Padi
Aankhe Mere HUSAIN (AS) Ki Ashkon Se Hai Bhari
Chin Jaaie Na Bahen Ki Rida Fiqr Hai Badi
ABBAS  (AS) Utho Tum Ko Sada Deta Hai HUSAIN (AS)…..2
 
Tanha Sitamgaron Ne Ishe Gher Liya Hai
Ji Jiska Chaha Sitam Usne Kiya Hai
Teeron Se Pattharon Se Ise Zakhmi Kiya Hai
Ab Janib E HUSAIN (AS) Sitamgar Badha Hai
ABBAS  (AS) Utho Tum Ko Sada Deta Hai HUSAIN (AS)…..3
 
Tere Supurd Kar Ke Gai Thi Jise ALI (AS)
Kya Yaad Woh Wasiyat E Aakhir Nahi Rahi
Makhtal Yeh HUSAIN (AS) Ka Aur Qatl Ki Ghadi
Sun Kar Fuga HUSAIN (AS) Ki Kehne Lage ALI (AS)
ABBAS  (AS) Utho Tum Ko Sada Deta Hai HUSAIN (AS)…..2
 
Khanjar Sambhal E Hath Me Hai shimr (LA) E   Bad Sifat
Karti Hai Bhai Maut Buqa Karti Hai Hayat
Ek Din Mein Lut Gai Mere Bacche Ki Qaiyanat
Dekhe Sue Khaiyam Kabhi Janib E Furat
ABBAS  (AS) Utho Tum Ko Sada Deta Hai HUSAIN (AS)…..2
 
Is Hal Mein Bhi Shukr E Khuda Karta Hai HUSAIN (AS)
Khamosh Reh Ke Zalm O Sitam Sehta Hai HUSAIN (AS)
Teri Wafa Ka Tujhko Silah Deta Hai HUSAIN (AS)
Is Be Kasi Mein Tum Ko Sada Deta Hai HUSAIN (AS) 
ABBAS  (AS) Utho Tum Ko Sada Deta Hai HUSAIN (AS)…..2
 
Farhan O Mazhar Aabdi Kaisa Woh Khaab Tha
Aashoor Ka Woh Roz Tha Hum Aur Karbala
Pohuche Paye Ziyarat E ABBAS  (AS) E Bawafa
Kanon Mein Aaie Ek Sisak Ti Hui Sada
ABBAS  (AS) Utho Tum Ko Sada Deta Hai HUSAIN (AS)…..2







MOLA (AS) Se Mere Nazon Ka Pala Na Uthega



MAULA (AS) Se Mere Nazonka Pala Na Uthga
Lashe Pe Khade Pe Soch Te The SAIYAD E WALA (AS)
Atthara Baras Maan Ne Muradon Se Pala
Khaime Ki Taraf Dekha Kabhi Dil Ko Sambhala
Phir Tham Ke Phal Barchi Ka Seene Se Nikala
MAULA (AS) Se Mere Nazon Ka Pala Na Uthega…..2
Zakmi Hai Bahut Gesuon Wala Na Uthega…..2
MAULA (AS) Se Mere Nazon Ka Pala Na Uthega…..2
Zakmi Hai Bahut Gesuon Wala Na Uthega…..2
Ek Baap Ko Taqdeer Ne Halat Ye Dikhaie…..2
Thi Lashe Jawan Saam Ne Hoton Pe Duhaie….2
Pat Ke Kamar Tham Ke Maiyat Jo Uthaie….2
Sar Nange Phupi Khaime Se Bahar Nikal Aaie…..2
MAULA (AS) Se Mere…….
Maqtal Mein Qaiyamat Ki Ghata Chaa Gai AKBAR (AS)…..2
Na Jane Tujhe Kiski Nazar Kha Gai AKBAR (AS)…..2
Din Byah Ke Aaie To Ajal Gai AKBAR (AS)…..2
Uth Jaao Mere Lal Phupi Aa Gai AKBAR (AS)
MAULA (AS) Se Mere…….
Bano Ka Yeh Arman Tha Dulhan Byah Ke Laati…..2
Is Chaand Se Chehre Pe Woh Sehra Bhi Sajati…..2
Sughra Tere In Haton Mein Mehndi Bhi Rachati…..2
Khud Karti Har Ek Kaam Na Bhabhi Se Karati…..2
MAULA (AS) Se Mere…….
Kya Khoob Mere Laal Yeh Shadi Hai Rachaie…..2
Aaie Na Dulhan Byah Ke Maiyat Teri Aaie…..2
Roro Ke Yeh ZAINAB (SA) Ne Di Baba Ko Duhaie…..2
SHABBIR (AS) Ne Khud Haton Pe Yeh Lash Uthaie…..2
MAULA (AS) Se Mere…….
Sardar Azadar E Husain (AS) Aaie Hai Purnam
Jub Tak Bhi Dhadak Te Seeno Mein Rahe Dam
Barpa ALI AKBAR (AS) Ka Karenge Yunhi Matam
Uth Jaiengi Dunia Se To Reh Jaienga Yeh Gam
MAULA (AS) Se Mere…….



         Matam Rahenga HUSAIN (AS) Ka






Shaheed E Karbala (AS) Ka, Mazloom E Karbala (AS) Ka…..2
Farzand E Mustufa (AS) Ka….
Matam Rahenga HUSAIN (AS) Ka…..2
Shaheed E Karbala (AS) Ka, Mazloom E Karbala (AS) Ka…..
Farzand E MUSTUFA (AS) Ka….
Matam Rahenga HUSAIN (AS) Ka…..
Jari Rahenga Yeh Huqm E Khuda Se,
Ghar Ghar Mein Bapa Hai Yeh ZAINAB (SA) Ki Ata Se
Ruk Ne Nahi Denge, Matam Ka Sil Sila
Wada Hai Hamara Yeh Sher E Khuda Se
Shaheed E Karbala (AS) Ka…..
Bholenge Nahi Hum, Ta Hashr SHEH (AS) Ka Gam
Yeh Nauha Padheng, Jub Tak Hai Dam Mein Dam
Aankhon Mein Rahega Barshat Ka Mausam
Gam Ho Ya Khushi Ho Bas Hoga Tera Gam
Shaheed E Karbala (AS) Ka…..
Matam Hai Qaiyadat, Matam Hai Riyazat
Hum Ahle Aza Ki Matam Hai Zarurat
Nauha Hi Aza Hai, Nauha Hi Aqamat
Sajda Bhi Ibadat, Matam Bhi Ibadat
Shaheed E Karbala (AS) Ka…..
Mansab Yeh Bada Hai, Hum Ko Jo Mila Ahi
Matam Ke Liye Jo ZEHRA (SA) Ne Chuna Hai
Takhleeq Hume Jo Khaliq Ne Kiya Hai
Takhleeq Ka Maqsad Matam Hi Rakha Hai
Shaheed E Karbala (AS) Ka…..
Matam Hi Wafa Hai, Matam Hi Baqa Hai
Matam Ka Musalla Yeh Farshe Aza Hai
Tariqh Jo Kholo Us Mein Yeh Likha Hai
Yeh Matam O Nauha Nabion Ne Kiya Hai
Shaheed E Karbala (AS) Ka…..
Tatheer Ka Matam , Humsheer Ka Matam
Quran E Aza Ki Humsheer Ka Matam
Sajjad (AS) Ke Gam Mein , Zanzeer Ka Matam
Har Haal Mein Karna Dilgir Ka Matam
Shaheed E Karbala (AS) Ka…..
Farhan Se Mazhar Yeh Kehta Hai Ro Kar
Yeh Matam O Nauha Hai Karz Lahu Par
Tehreer Hamari, Aawaz Tumhari
Haan Zinda Rakhenge Matam Ko Zameen Par
Shaheed E Karbala (AS) Ka…..






0 comments:

ad